Sashwata
Satya
Ye meine Janm liya hai, ya hua hai jashn ka elan
Ye mere swagat ki hai taiyari, ya mila hai mujhe koi Vardan1
Ye Maa ka pyar hai, ya hua hai Upar- wala meharban
Ye Pita ka diya nam hai, ya hai meri alag pehchan2
Ye javani ne pankh pasare hai, ya dil ne bhari hai nayi udan
Ye josh-e-javani hai, ya hai kuch kar dikhane ka abhiman3
Ye karm ki shuru-aat hai, ya hai mere hunar ka parinam
Ye santushthi ka ahasas hai, ya hai karm-sadhna ka gyan4
Ye samay ki Mang hai, Ya hai Dil ki aawaz
Ye khushi muskurayi hai, ya mila hai mujhe naya Pyar5
Ye pyar ka ishara hai, ya Man hua hai mera baiman
Ye pita bane ki lalsa hai, ya mila hai mujhe samman6
Ye purani yado ka abhas hai, ya hai naye daur ki shuru-aat
Ye atma ki jalan hai, ya aayi hai meri kabiliyat mein darar7
Lagata hai Jindagi ek Pal mein simat aayi hai
Kal to awaz de rahi thi, aur aaj alvida kah rahi hai8
Hua hai mujhe aaj, jivan ke satya ka gyan
Ant to nishchit hai, kitni bhi koshish kar le Insan9
Ye Chita
pe leta hu mein , Ya leta hai mera nashwar shareer
Ye mere sharer ki rakh hogi, ya hogi mere charitr ki
tasveer 10
Ye jivan ka ant hai, ya hai moksh ki jwala
Ye shareer ki tapan hai, ya piya hai meine amrat ka pyala
11
Yahi aakhri dua hai meri, itni tu mujhe de de shakti
Isi janm mein mil jaye, mujhe is sarsthi se mukti12
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें